Zaroori Tha Lyrics

Tuesday, 2 February 2016
Lafz Kitne Tere Pairon Se Lipte Honge
Too Ne Jab Aakhri Khat Mera Jalaya Hoga
Tu Ne Jab Phool Kitabon Se Nikaale Honge
Dene Wala Bhi Tujhe Yaad To Aaya Hoga

Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi, Bichadna Bhi Jaroori Tha
Zaroori Tha Ke Hum Dono Tavaafe Aarzu Karte
Magar Phir Aarzuon Ka Bikharna Bhi Jaruri Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha

Batao Yaad Hai Tumko, Vo Jab Dil Ko Churaya Tha
Churayi Cheez Ko Tumne, Khuda Ka Ghar Banaya Tha
Vo Jab Kehte The Mera Naam Tum Tasbee Mein Padhte Ho
Mohabbat Ki Namaazo Ko Qaraa Karne Se Darte Ho
Magar Ab Yaad Aata Hai, Vo Baatein Thi Mehaz Baatein
Kahin Baaton Hi Baaton Mein, Mukarna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha

Vahi Hain Sooratein Apni, Vahi Hu Main Vahi Tum Ho
Magar Khoya Hun Main, Magar Tum Bhi Kahin Ghum Ho
Mohabbat Mein Daghaa Ki Thi So Kaafir The So Qaafir Hain
Mili Hain Manzilein Phir Bhi, Musafir The Musafir Hain
Tere Dil Ke Nikaale Hum, Kahaan Bhatke Kaha Pahunche
Magar Bhatke Toh Yaad Aaya, Bhatkna Bhi Jaruri Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi, Bichadna Bhi Jaroori Tha
Zaroori Tha Ke Hum Dono Tavaafe Aarzu Karte
Magar Phir Aarzuon Ka Bikharna Bhi Jaruri Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha

0 comments:

Post a Comment