Humne tumse, tumne hamaara rishta joda gham se
Ek vafa ke siva kaunsi khata hui thi humse
Kabhi bandhan juda liya, kabhi daaman chhuda liya
Kabhi bandhan juda liya, kabhi daaman chhuda liya
O saathi re
Kaisa sila diya yeh vafa ka kaisa sila diya
Tere vaade, voh iraade
O saathi re
Sab kuch bhoola diya yeh vafa ka kaisa sila diya
Baat kuch samajh na aayi, kami kya hum mein paayi
Ek tarfa yeh mohabbat humi ne sirf nibhaayi
Jaam chaahat ka dekar zaher nafrat ka pila diya
Zaher nafrat ka pila diya
Tere vaade, voh iraade
O saathi re
Sab kuch bhoola diya yeh vafa ka kaisa sila diya
Umr bhar so na sakenge, kisi ke ho na sakenge
Ajnabi tum ho jaao, gair hum ho na sakenge
Kisi begaane ki khaatir tumne apnon ko bhoola diya
Tumne apnon ko bhoola diya, haan apnon ko bhoola diya
Tere vaade, voh iraade
O saathi re
Sab kuch bhoola diya yeh vafa ka kaisa sila diya
Ab mujhe jeena nahin sanam, yeh zaher peena nahin sanam
Janam janmon ka naata chand lamhon mein mita diya
Chand lamhon mein mita diya
Tere vaade, voh iraade
O saathi re
Sab kuch bhoola diya yeh vafa ka kaisa sila diya
Kabhi bandhan juda liya, kabhi daaman chhuda liya
O saathi re
Kaisa sila diya yeh vafa ka kaisa sila diya